-->

प्याज़ के रस से बनाए अपने बालो को सुंदर और लम्बे

Advertisemen
Onion Juice for Hair Growth in Hindi : Pyaz saste mein bikte hai aur logo ko us ko khaane ke siva aur koi upyog nahin soojhta hai. Pyaj mein rahe sulphur based compounds na sirf swasth ke liye balki kesh aur tvacha ke liye bhi bahut hi gunkari hai. Baalo ki hee baat kare to pyaaj itna chamatkari hai ki ganjepan ko bhi mita sakta hai to baalo ko ugaana aur lamba karna pyaj ke liye daye haath ka khel hai. Jaaniye pyaj ke gun aur kaise upyog kare onion juice for hair in Hindi

प्याज के औषधीय गुण फायदे

Pyaaj mein hote hai quercetin aur sulphur compounds jo baalo ke liye bahut gunkari hai. प्याज के गुण hai us mein enzyme catalase se jo baalo ko akal safed hone se bachata hai. Journal of Dermatology mein 2002 mein ek study ka result publish kiya jis mein bataya gaya hai ki 84% vyakti jinhone ne jhadte baalo ke case mein apne sar par pyaj ka ras lagaya unke baal achchi tarah se fir se ugne lage. Pyaj mein folic acid, potassium, calcium aur iron bhi paya jaata hai. Pyaj ka ras baalo mein lagane se jin ke baal short hai to aise case main baal lambe hone lagenge. Jin ko ganjapan hone laga hai voh fauran pyaj ka ras ka istemal kare to baal jhadne bandh ho jaate hai aur mrut baalo ke koshika fir se jeevit ho ke naye baal ka nirmaan hota hai. Magar yeh dhyan mein rahe ke ganjepan ke shuruaat mein hee yeh fayda hoga aur agar lambe samay se ganjapan ho gaya hai aur late se pyaj ka upyog karenge to koi itna fayda nahin hoga. 
Pyaj ko kachcha hee khana bhi chahiye kyonki is mein rahe quercetin antioxidant ka kaam akrte hai aur khood ko svach karne ke saath hriday ke liye faydakarak hai. Pyaj mein quercetin ke alawa hai trisulfide, capaene, vinyl dithiins aur disulfines jo bacteria ko nash karne ke saath cancer se bhi bachate hai.

Onion juice for hair in Hindi

प्याज के रस के फायदे baalo ke liye aap chahte hai to is prakar pyaj ka ras bana sakte hai: 
  • Pyaaj ka chilka nikal ke tukde kar ke grinder mein paste bana ke paani mila ke thodi der tak rakhe to bhaari pulp baith jayega. Paani ko chaan le aur ise baalo ke jado mein mal de. 
  • Pyaaj ko juicer mein daal ke juice nikalna behtar hai kyonki pulp ek baaju reh jaata hai aur pure juice milta hai. 
  • Pyaaj ka juice nikalne ka samay nahin ho to pyaj ke slice ko apne baalo ke jado mein daba daba ke mal de to ras andar se nikalkar jado mein utar jaayega. 
Aap chahe to sirf pyaj ka ras upyog kare baalo ke vruddhi ke liye. Chahe to is mein pudine ka ras milaye, shahad milaye aur tea tree oil, lavender oil ka bhi istemal kar sakte hai. Yeh baalo mein laga ke kam se kam 15 minute tak rehne de aur fir shikakai se dho de. Shampoo ka upyog na kare. Onion juice mein green tea ka kaadha bhi milaya jaa sakta hai. 
Agar pyaj ke fayde hai baalo ke liye to प्याज से नुकसान bhi ho sakta hai. Aankho mein jaaye to jalan hoga. Agar allergy hai to ras se tvacha par fode pad jaate hai, blood pressure down hota hai aur shvas lene me taklif hoti hai.
TAGS : #pyaz ke fayde in hindi #onion for hair growth before and after #red onion for hair growth #onion juice for hair growth in hindi #pyaz ka pani #how onion helps in hair growth in hindi #pyaj ka ras #onion benefits for grey hair #onion juice benefits for hair in hindi #pyaz ke nuksan #onion juice for hair loss
>