-->

Khaman dhokla recipe in Hindi Ab jaaniye khaman dhokla recipe in Hindi. Besan dhokla recipe in Hindi aur khaman dhokla ek hi hai kyonki is mein chaval ka upyog nahin kiya jaata hai. Gujarat mein ise khaman kehte hai kyonki dhokla alag cheez hai. India ke anya bhaag mein is ko khaman dhokla kehte hai. Is ke liye samagri is prakar hai: 1 cup karkara besan (bilkul maheen aata na le) ½ cup dahi namak ¼ chamach haldi Adrak-lehsun-hari mirch ka paste daale 1 chamach nimbu ka ras Baking soda ¼ chamach ya ½ chamach eno fruit salt Besan aur dahi ko mix kare aur paani daal ke dheela banaye taaki thick paste bane aur is mein baaki ki samagri milaye. Sirf baking powder ya eno fruit salt aakhir mein steaming karne ke pehle daale. Tip: dhokla ka ghol bahut gadha na ho aur bahut patla na ho is ka dhyan rakhe. Dhokla ke liye tadka ki samagri 2-4 tablespoon tel ½ chamach rai ¼ spoon ajwain ½ spoon jeera 2 suke lal mirch 5-6 kadhi patte Hing ¼ spoon ½ chamach lal mirch powder Ab hum batayenge dhokla banane ki vidhi hindi me. Suji dhokla banane ki vidhi aur anya dhokla banane ki vidhi sab ek jaisi hi hai. To dhokla banane ki vidhi hindi main is prakar hai. Dhokla Banane ki Vidhi Ek bada bartan le aur us mein 2 glass paani daale aur gas ke upar rakh ke garam hone de. Bartan mein support ke liye koi katori ko ulta rakh de. Ab chote thaali le jo bade bartan mein sama jaa sake. Dhokla banane ki vidhi hindi mai aage badhaye aur in chote thaliyo ko andar se tel achchi tarah se laga le Ab dhokla ka raab aap ne taiyar kiya hai is mein daale. Poora thali upar tak na bhare, aadhe tak hi daale. Chahe to upar lal mirch powder aur jeera chidak de. Is thali ko bade bartan mein rakh ke 10 minute tak ya jab tak dhokla pak na jaaye tab tak steaming kare. Bahar nikal ke thanda hone de. Aise aur thali taiyar kare. Thanda hone par chaku thaali ke sides mein phiraye aur slide kar ke dhokla ke tukde nikal de aur ek badi thaali mein spread kare. How to make dhokla in Hindi mein aap jaaniye ki ab aap ko final tadka lagana hai. Ek bade kadhai mein tel dale. Tel kam ya jyaada ho sakta hai aap ke taste ke anusar. Jyaada le to achcha hai taaki sabhi dhokla achchi tarah tel se bheeg jaaye. Tel ko garam kare. Dhua nikalne par rai daale. Chitput hone par baaki ki samagri daale aur thodasa bhune. Aap chahe to aap kaale til ek-do chamach andar daal de. Ab aap dhokla ke tukde is tadke ke andar daal ke upar thodasa lal mirch powder daal ke hilate rahe tab tak jab tak dhokla sabhi tel ko choos na le aur chahe to halke aanch par aisa hi rakh chode taaki dhokla thodasa fry ho jaaye jis ka taste hi alag hota hai. Agar aisa nahin karna hai to thaali mein spread kiye hue tukde par tadka daale aur hilaye. Ab finally, upar hara dhaniya daale. Chahe to til daale ya kachcha nariyal kaddu kas kar ke dale. Dhokla ko traditionally Gujarat mein besan se bana kadhi aur tale hare mirch ke saath khaaya jaata hai. Aap chahe to dahi mein bhigo ke parose. Teekha dhokla banana hai to tadka mein ek chamach lal mirch powder last mein daale aur dhokla ke saath mila de. Gujarat mein log dhokla ke upar aur tel daal ke khaate hai jis se dhokla aur tasty lagta hai

Advertisemen

Khaman dhokla recipe in Hindi

Ab jaaniye khaman dhokla recipe in Hindi. Besan dhokla recipe in Hindi aur khaman dhokla ek hi hai kyonki is mein chaval ka upyog nahin kiya jaata hai. Gujarat mein ise khaman kehte hai kyonki dhokla alag cheez hai. India ke anya bhaag mein is ko khaman dhokla kehte hai. Is ke liye samagri is prakar hai: 
  • 1 cup karkara besan (bilkul maheen aata na le)
  • ½ cup dahi
  • namak
  • ¼ chamach haldi
  • Adrak-lehsun-hari mirch ka paste daale
  • 1 chamach nimbu ka ras
  • Baking soda ¼ chamach ya ½ chamach eno fruit salt
Besan aur dahi ko mix kare aur paani daal ke dheela banaye taaki thick paste bane aur is mein baaki ki samagri milaye. Sirf baking powder ya eno fruit salt aakhir mein steaming karne ke pehle daale. 
Tip: dhokla ka ghol bahut gadha na ho aur bahut patla na ho is ka dhyan rakhe. 

Dhokla ke liye tadka ki samagri

  • 2-4 tablespoon tel
  • ½ chamach rai
  • ¼ spoon ajwain
  • ½ spoon jeera
  • 2 suke lal mirch
  • 5-6 kadhi patte
  • Hing ¼ spoon
  • ½ chamach lal mirch powder
Ab hum batayenge dhokla banane ki vidhi hindi me. Suji dhokla banane ki vidhi aur anya dhokla banane ki vidhi sab ek jaisi hi hai. To dhokla banane ki vidhi hindi main is prakar hai. 

Dhokla Banane ki Vidhi

  • Ek bada bartan le aur us mein 2 glass paani daale aur gas ke upar rakh ke garam hone de. Bartan mein support ke liye koi katori ko ulta rakh de. 
  • Ab chote thaali le jo bade bartan mein sama jaa sake. 
  • Dhokla banane ki vidhi hindi mai aage badhaye aur in chote thaliyo ko andar se tel achchi tarah se laga le
  • Ab dhokla ka raab aap ne taiyar kiya hai is mein daale. Poora thali upar tak na bhare, aadhe tak hi daale. Chahe to upar lal mirch powder aur jeera chidak de.
  • Is thali ko bade bartan mein rakh ke 10 minute tak ya jab tak dhokla pak na jaaye tab tak steaming kare. 
  • Bahar nikal ke thanda hone de. Aise aur thali taiyar kare. 
  • Thanda hone par chaku thaali ke sides mein phiraye aur slide kar ke dhokla ke tukde nikal de aur ek badi thaali mein spread kare. 
  • How to make dhokla in Hindi mein aap jaaniye ki ab aap ko final tadka lagana hai. 
  • Ek bade kadhai mein tel dale. Tel kam ya jyaada ho sakta hai aap ke taste ke anusar. Jyaada le to achcha hai taaki sabhi dhokla achchi tarah tel se bheeg jaaye.
  • Tel ko garam kare.
  • Dhua nikalne par rai daale. Chitput hone par baaki ki samagri daale aur thodasa bhune. Aap chahe to aap kaale til ek-do chamach andar daal de. 
  • Ab aap dhokla ke tukde is tadke ke andar daal ke upar thodasa lal mirch powder daal ke hilate rahe tab tak jab tak dhokla sabhi tel ko choos na le aur chahe to halke aanch par aisa hi rakh chode taaki dhokla thodasa fry ho jaaye jis ka taste hi alag hota hai.
  • Agar aisa nahin karna hai to thaali mein spread kiye hue tukde par tadka daale aur hilaye. 
  • Ab finally, upar hara dhaniya daale. Chahe to til daale ya kachcha nariyal kaddu kas kar ke dale. 
Dhokla ko traditionally Gujarat mein besan se bana kadhi aur tale hare mirch ke saath khaaya jaata hai. Aap chahe to dahi mein bhigo ke parose. Teekha dhokla banana hai to tadka mein ek chamach lal mirch powder last mein daale aur dhokla ke saath mila de. Gujarat mein log dhokla ke upar aur tel daal ke khaate hai jis se dhokla aur tasty lagta hai
>